Jab dekha unhone tirchhi nazar se
Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
to hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki nazare hi tirchhi hai,
to hum behosh ho gaye…
JAb Jab ghire Baadal, Teri Yaad aayi
Jhoom ke barsa Saawan, Teri Yaad aayi
Bheega main, lekin phir bhi teri Yaad aayi
Kyon na aaye teri yaad?
Tune jo chatri ab tak nahi lautai…
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Yahan likhna mana hai.
Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
Wo to hamare ho na sake,
Hum kutton ke sardar ho gaye…
Na woh inkaar karti hai
Na woh ikraar karti hai
KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
Mere dost se pyaar karti hai.
Maine poocha chand se…
Kabhi dekha hai mere yaar sa hasin…..
Chand bola…. 12036 entries found!
Arz kiya hai, Door se dekha to santra tha,
pass jake dekha to santra tha,
cheel ke dekha to bhi santra tha,
Khake dekha to bhi santra tha.
Wah kya santra tha !
Aaj didar,
kal yaar,
parso pyar,
phir ekrar,
aur phir-intzar,
phir-takrar,
phir-darar,
saari mehnat-bekar,
aur akhir mein-Ek aur devdas at beer bar !
